Bahut masroof rehte thay,
Hawaaon per hukumat thi.....!
Taqabbur tha ki taaqat thi,
bala ki baadshahi thi..! koi be-fikr betha tha,
kisi ke hath hukumat thi.! koi tadbeer karta tha
koi taskheer karta tha..! koi maazi dikhaata tha
koi mustaqbil batata tha....!
Abhi masroof thay ase, ke ek hasti bhula bethay...!
Bahut parvaaz kar bethay, khuda naraz kar bethay..!
Ab usne muh jo phera hai faqat wahshat ka dera hai..!
Ke duniyaa ki har ek basti, bhayanak maut ka chehraa hai..!
khuda muh pher betha hai, ab uska ghar bhi khaali hai...!
Qahar duniyaa pe tari hai,abhi bhi waqt hai logo....!
khuda se gidgidaa kar tum abhi toba karo logo....!
Wo jaldi maan jaata hai jaldi maan jaata hai. .!
- धर्म🖋️